Hai aangan mein bikhre pade sab rishtey
Kuch roothey, kuch tute se rishtey
Thi jo kabhi haste – khilkhilate se, hai ab
Uljhano mein uljhe se rishtey
Woh bin mausam ke barish mein bheegna
Woh natkhat boondon se rishtey
Woh raat ka baaton mein subah ho jaana
Woh chanchal kirnon se rishtey
Woh baithe bithaye khwaabon ka bunna
Woh sehmi ummeedon se rishtey
Woh bhoole huwe saazon ko chhedna
Woh bewaqt naghmon se rishtey
Woh raaton ko yuhi chal padna kahi
Woh anjane rahon se rishtey
Woh likhna kaagaz par apni zindagi
Woh haath ki lakeeron se rishtey
Kai baar humne uthaye hai lekin
Haathon se phisalte hai rishtey
Thak gaye hai dohrakar lekin
Na humse sambhalte hai rishtey
Phir bhi humse kyun milte hai rishtey?
there were a few minor things so i did it myself, post this: -
ReplyDelete"Hai aangan mein bikhre pade sab rishtey
Kuch roothey, kuch tute se rishtey
Thi jo kabhi haste – khilkhilate se, hai ab
Uljhano mein uljhe se rishtey
Woh bin mausam ke barish mein bheegna
Woh natkhat boondon se rishtey
Woh raat ka baaton mein subah ho jaana
Woh chanchal kirnon se rishtey
Woh baithe bithaye khwaabon ka bunna
Woh sehmi ummeedon se rishtey
Woh bhoole huwe saazon ko chhedna
Woh bewaqt naghmon se rishtey
Woh raaton ko yuhi chal padna kahi
Woh anjane rahon se rishtey
Woh likhna kaagaz par apni zindagi
Woh haath ki lakeeron se rishtey
Kai baar humne uthaye hai lekin
Haathon se phisalte hai rishtey
Thak gaye hai dohrakar lekin
Na humse sambhalte hai rishtey
Phir bhi humse kyun milte hai rishtey?"
thks.. have done so!!
ReplyDelete